Another one from "Namaste London"
#1:
jaane kiski talaash unaki aankhon mein thi
aarajoo ke musaafir bhatkate rahein
jitane bhi woh chale
utane hi bichh gayein raah mein faasalein
kwaab manjil thi aur manjilein khwaab thi
raaston se nikalate rahein raaste
jaane kis waste aarjoo ke musaafir bhatkate rahein
#2:
koyi puraani yaad mera rasta roke mujhse kehti hai
itani jalati dhoop mein yuun kab tak ghumoge
aayo, chalke bitein dino ki chhanv mein baithe
us lamhein ki baat karein
jisme koyi phool khila tha
us lamhein ki baat karein ke
jisme kisi aawaaz ki chaandi khanak uthi thi
us lamhein ki baat karein ke
jisme kisi nazaron ke moti barse the
koyi puraani yaad mera rasta roke mujhse kehti hai
itani jalati dhoop mein yuun kab tak ghumoge
#3:
sach toh yeh hai kasoor apana hain
chaand ko chuune ki tamanna ki
aasamaan ko jamin par maanga
phool chaaha ki paththaron pe khilein
kaanton mein ki talaash khoshboo ki
aarjoo ki ke aag thandak de
barf mein dhundate rahein garmi
khwaab jo dekha chaaha sach ho jaaye
isaki humko saja toh milani hi thi
sach toh yeh hai kasoor apana hain
No comments:
Post a Comment