Thursday, March 8, 2012

Kuch sapno ke mar jaane se jeevan nahi mara karta hai

One of my favorite poem from the childhood days (somewhere from class 7th or 8th)

Chip Chip ashru bahaane waalon
Moti vyarth lutane waalon !
Kuch sapnon ke mar jane se jeevan nahin mara karta hai

Sapnaa kya hai ? Nayan sez par,
Soya hua aankh ka paani
Aur tootna hai uska jyon
Jage kachchi neend jawani
Geelee umar banaane walon! Doobe bina nahaane waalon
Kuch pani ke bah jane se saawan nahin mara karta hai

Mala bikhar gayi to kya hai
Khud hi hal ho gayi samasyaa
Aansoo gar neelaam huye to
Samjho poori huyi tapasyaa
Roothe divas manaane walon! Phati kameez silaane waalon!
Kuch deepon ke bujh jaane se aangan nahin mara karta hai

Khota kuch bhi nahin yahan par
Kewal zild badaltee pothee (pothee –book)
Jaise raat utaar chandani
Pehne subah dhoop ki dhoti
Vastra badal kar aane waalon ! Chaal badalkar jaane waalon!
Chand Khilounon ke khone se bachpan nahin maraa karta hai

Laakhon baar gagriyaan phooteen
Shikan na aayi panghat par
Lakhon baar kishtiyaan doobeen
Chahal-pehal waisi hai tat par
Tam ki umar badhaane waalon! Lau ki aayu ghatane waalon ! (tam-darkness)
Laakh kare patjhad koshish par upvan nahin maraa kartaa hai

Loot liya maali ne upvan
Luti na lekin gandh phool ki
Toofaanon tak ne cheda par
Khidki band na huyi dhool kee
Nafrat gale lagaane waalon! Sab par dhool udaane waalon
Kuch mukhdon ki naaraazee se darpan nahin maraa karta hai

Chip Chip ashru bahaane waalon
Moti vyarth lutane waalon !
Kuch sapnon ke mar jane se jeevan nahin mara karta hai

Gopal Das 'Neeraj'

No comments: